Don't forget words!!
Tuesday, 31 May 2016
Tuesday, 24 May 2016
Monday, 23 May 2016
Friday, 20 May 2016
Think about it !!
Last friday mai or mera dost office se namaz k lye nikly , hm wahan mamool se pehly puhunch gaey thy to kuch khutba bhi sunny ko mil gaya , masjid mery maslaque ki thi or mera dost gair masalque ka tha , khutba chal rha tha or Allama sahab bht josh mai dosry firqon ko nishana banaey hoey thy ,
Mai ne apny dost ki traf dekha to us k chehry p gussy ki jhalak dikh rahi thi or wo haqarat se Allama sahab ko daikh raha tha , Namaz adaaa kar k hm bahir aye to us ne mjhy se kaha k,
"Khutba to nahi tha yeh, Allama sahab to faisla suna rahy thy k kon jannat mai jaye ga , jesy jannat ki thaiky dari un k hath main hai"
Us ka yeh kehna tha or hamari behas shoro hogaiei , itna ilm nahi tha hm dono k pas k hm kisi sahi nateejy par pouhunchty, Bsss behas karty rahy or dil mai narazgi le kar ghr chaly gaey ,,
Mai ghar agaya or mjhy sab yad a rha tha , phr m ne socha galti mery dost ki nahi hai blaky allama sahb ki hai. unki batain ikhlaqi aitbar se bilkul galat thin, wo hamain deen nahi sikha rhay thy blaky hamari trbiyat kar rhy thy k gair maslaque waly kafir hai ,hamain tayyar kar rhy thy k hamain jawab kesy deny hain , hamin bsss aik bat sikhaie ja rhai hai unhy kafir hi sabit karna hai,
Islam to aisy nahi phela hoga , Allah k Rasool (صلی اللہ علیہ وسلم) ne to kafiron ko bhi seeny s laga kar smjhaya tha , na k un se bughaz rakha or na hi kabhi un ki dil azari kari,, or yahan to kalma parhny waly hain sab , islam ko maanny waly hain,
Mai yeh nahi kehta k sary Moulana ya Allama hazraart aisy hain, Hamary lye bohat Muhzab hain, Magar ab Mimbaron per bethy hoey hazraat agar ksi per tanqeed karain ge to wo dawat kesy dain ge , kon many ga unki batain , kon samjhy ga unko , Log nafrat karain ge aik dosry s or musalman musalman wali be maieny reh jaye gi ,,
Gair muslim to doar hai jo apny hain wohi ikhtlafat main hain, Ikhlaaq ko khatam kar k dilon par hukoomat nahi ho sakti kabhi nahi ki ja sakti,
Kia hum waqie muslman hai or aik musalman ki trbiyat ye to nahi ho sakti.
Firqa Bandi Hai Or Kahin Zaatain Hain
Kiya Zamany Mai Panapny Ki Yahi Batain Hain
(IQBAL)
Thursday, 19 May 2016
Care pleas
Respect Your Precious Relation Mother !!
Dhoodh ki shop se dhood le raha tha k achanak aik hath ne mjhy mutawajja kia, Mai ne palat kar dekha to aik zaeef khatoon khari thin or mujh se kehny lagin mujhy 1.5 liter doodh dila do , Jo roz marrah mai humain mangny waly ya zarorat mund nazar aaty hai ye un se bilkul mukhtalif thin.
Saaf sutri chaplain , khoobsorat si chadar or gair mamoli kapry pehny hoey thi, mjhy herat hoie phr mjh se mana nahi hoa mai ne doodh lia or anti ki traf barhaya , unho ne jis waqt mujh se doodh ki theli li to m ne goar kia ke un ka hath buri trah jala hoa tha , or peep bhari hoie thi , Mery moun se na chahty hoey bhi ye sawaal zubaan per a hi gaya k 'Ye kia hoa hai' ?
Kuch nahi beta wo doodh ki patili choly se utaar rahi thi to mjh s sambhali nahi gaie or hath se chooat gaie , Umer hogaie haina beta , mai bss ja kar is ko saaf kar k dawaie laga lon gi ap fikar na karo,
Itna bhi kia zarori tha k ap is trah apny ap ko takleef de rahin hain pehly ilaaj kara letin , or acha to nahi lagta magar mai jan sakta hon k ap MashAllah kafi behtar halat mai nazar a rhain hain, to phr doodh wala muamla meri samjh nahi aya?
Aik udaasi bhari muskurahat se unho ne kaha beta ,
Mera beta aany wala hai wo naraz hota k mjh se doodh gir kar zaya hogaya , subah pesy de gaya tha or kaha tha k aany tak doodh lazmi garam kardena , or mery pas pesy nahi thy is lye bss bahar nkal aie or is trah tmhy pareshan kardia ...
Ye bol kar wo chalin gaien or me sochta raha k kitna badnaseeb beta tha jo apni Maa ki khidmat karny k bajaey un ki Aahon ki waja ban rha hai , Ghar gaya to ammi ka hath zor se dabay orr aanso gir gaey or Maa ne aanso ki waja pochi or pounch diye , waja to nahi bata saka per bht maafi mangi or kabhi un ki takleef ki wajah na banny ka wada kia ..
Mery Allah Tera Bohat shukar hai ke meri Maa ka mujh per saya hai, or jin per hai unhy bhi qadar karny ki toufeeq ata farma... Ameen
Wednesday, 18 May 2016
SAD
Ek shaam ka shaami muslmaan keh rha tha yeh cheikh ceikh kar k Rousi tayyaron ki bomb bari se hamain bachaya jaye, dunia bhar k musalmano hamari madad karo.. ye sun kar mjhy thora dukh hoa par bht sari hansi i..
Bhala kon aye ga madad ko , bhai kisi k ghar me cable nahi a rha to un ki ehlia keh rahin hai k cable waly ko le aien,To kisi k bachy keh rhain hain net nahi chal rha hai ,Or kisi ki beti keh rhai mjhy smart phone la dain mjhy ab mjh se ye sada set nahi chalta, ab ye sab un ki family ki zaroriat pori karain ge ya bs ap ki bat sunain ge..
ab itni mushkilon me bhai wo ap ki madad kesy kary ga, mannaa k in sab cheezon k bagair zindagi guzar sakti hai par q koi sochain,hamary mulk me thori koi mar rha hai jo koi aye ga, or mulk ka to pata nhi yahan to muhally me kisis k sath masla ho to chup chup k parosi nkalty hai kahin koi kaam na bol de koi .
Allah k Rasool (p.b.u.h) ne apni tamaam zindagi guzar kar dkhaie hamary lye,ab wo purani bat hai . ab wo mahool thori hai , jahan jahalt apny pory zoar par thi . betian peda bad m hoti thin un ki qabrain pehly khud jati thin , kamzoor ghulami karty thy traqatwar hukmarani , khoon k pyase log bss mar dia jaye dushman ko is m zindagian guzar dety thy ,
Allah k Rasool (P.B.U.H) ka lesson ab yad nahi hai ab bss hm bht jadeed doar mai jee rahain hain jahan hamary hathon se phones nhi chotthty or magribi muhtarmaien hamary khuwabon khayalon ki zeenat hain bss bhai ap apna masla khud hal karain koi nahi hai yahan ....
Sunain Ga IQBAL Kon In Ko , Yeh Anjuman Hi Badal Gaie Hai
Naey Zamany Main Ap Hum Ko Purani Batain Bata Rahain Hain..
Tuesday, 17 May 2016
RESPECT YOUR FATHER
Sunday ko mery school ki traf se picnic par ja rhy thy , or hamesha ki trah abbu ne mjhy peson ka bol kar taal dia ,, mjhy is bar lazmi jana tha or mery dost bhi bary udaas hoey ye sun kr k mery abbu mjhy ijazat nhi de rhy ..
Friday night ko jab me ghr par mojood nhi tha to mery dost ikhatty ho kar mery ghr aye or mery abbu ko manany lagy k Fakhir ko bhi bhaij dain ,, kafi request karny par bil akhir abbu maan gaey ..
Satrurday ko mjhy 350 rupy de kar kaha k ja kar jama kara do or chaly jao , m herat me tha k abbu ne mery doston ki bat maaan li or mjhy akhir jany ki ijazat mil gaie,
Bil- akhir m ne b picnic attend karli jab me wapis ghr aya to m ne dekha abbu office ki timing se phly ghr per thy or ammi se keh rhy thy k Fakhir pata nhi khairiat se b hai ya nhi , m hamesha usy peson ka bol kar taal deta tha par me usy qaid bhi nhi kar k rakh sakta , bht fikar ho rhi hai uski is lye ghr agaya office se jaldi, dil bhi nahi lag rha tha kaam me,,
Us waqt main kahry ho kar yeh soch rha tha k m ne apny doston tak mai apny abbu ki izzat nahi rakhi k wo bss peson ki waja se mjhy mana kar dety hain ,, Kabhi kabhi hm us insaan ko hi galat samjhny lag jaty hain jo har traf se hi hamari fikar kar raha hota hai , Or bary sharam ki bat thi mery lye k m ne apny abbu ko itna haqeer jana,
Phr samjh i k me hi kam aqal hon..
Friday, 13 May 2016
TRUE
Sacrifice
Sacrifice
'Just parents can do'
-Is bar tankhuwah se kuch pesy bachaien hain mai ne, joty leny hain , ye waly kharab hogaey hain , is mai sorakh bhi hogaya ha ab pathar chubhty hain zakham bhi ban gaya hai ,
-Achanak samny kamry se madiha bhag kar aie , or baba baba karty hoey galy lag gaie ,
-Tm soein nahi abhi tak subah school nahi jana hai kia,
-G baba jana hai, ap ka intzar kar rahi thi , School mai madam ne kaha hai kay kal uniform Neya pehan kar aann hai ye wala purana hogaya hai, hamary school ki repotation kharab hoti hai,warna kal school nahi anaa,
-Abb ap kal mjhy neya uniform dilaein ge to hi mai jaon gi school,
-Thk hai kal main apni Guriya rani ko neya uniform dilaon ga ,Magar phr ap bhi promise karo achy numbers laien gi class mai?
-Wada?
-G baba Allah ka pakka wada, mai class mai awwal aon gi.
-Ab ap ja kar sojao subah Uniform b leny jana hai.
-Ap usy uniform kesy dilaien ge bhala shoes bhi khareedny hain or pesy kahan bachy hain ab ?
-Ary koi bat nahi jooty agly maheeny khareed lon ga jahan 3 maheeny sabar kia wahan aik maheena apni guria k liye bhi guzar sakta hon ,
-Ap kay paon mai zakham ho rha hai, dard barh gaya to kaam kesy karain ge,
-Ary nahi kuch nahi hota meri bachi kay school ka masla hai us ki khushi se hi mery zakham bhar jaien ge , Akhir hamary dil ki dhadkan hai , tum fikar na karo main guzara karlon ga,
Subscribe to:
Posts (Atom)