Thursday, 19 May 2016



Care pleas



 





Respect Your Precious Relation Mother !!


Dhoodh ki shop se dhood le raha tha k achanak aik hath ne mjhy mutawajja kia, Mai ne palat kar dekha to aik zaeef khatoon khari thin or mujh se kehny lagin mujhy  1.5 liter doodh dila do , Jo roz marrah mai humain mangny waly ya zarorat mund nazar aaty hai ye un se bilkul mukhtalif thin.
 

Saaf sutri chaplain , khoobsorat si chadar or gair mamoli kapry pehny hoey thi, mjhy herat hoie phr mjh se mana nahi hoa mai ne doodh lia or anti ki traf barhaya , unho ne jis waqt mujh se doodh ki theli li to m ne goar kia ke un ka hath buri trah jala hoa tha , or peep bhari hoie thi , Mery moun se na chahty hoey bhi ye sawaal zubaan per a hi gaya k 'Ye kia hoa hai' ?
 

Kuch nahi beta wo doodh ki patili choly se utaar rahi thi to mjh s sambhali nahi gaie or hath se chooat gaie , Umer hogaie haina beta , mai bss ja kar is ko saaf kar k dawaie laga lon gi ap fikar na karo,
                          Itna bhi kia zarori tha k ap is trah apny ap ko takleef de rahin hain pehly ilaaj kara letin , or acha to nahi lagta magar mai jan sakta hon k ap MashAllah kafi behtar halat mai nazar a rhain hain, to phr doodh wala muamla meri samjh nahi aya?
                                           Aik udaasi bhari muskurahat se unho ne kaha beta ,
Mera beta aany wala hai wo naraz hota k mjh se doodh gir kar zaya hogaya , subah pesy de gaya tha or kaha tha k aany tak doodh lazmi garam kardena  , or mery pas pesy nahi thy is lye bss bahar nkal aie or is trah tmhy pareshan kardia ...


                              Ye bol kar wo chalin gaien or me sochta raha k kitna badnaseeb beta tha jo apni Maa ki khidmat karny k bajaey un ki Aahon ki waja ban rha hai , Ghar gaya to ammi ka hath zor se dabay orr aanso gir gaey or Maa ne aanso ki waja pochi or pounch diye , waja to nahi bata saka per bht maafi mangi or kabhi un ki takleef ki wajah na banny ka wada kia ..


Mery Allah Tera Bohat shukar hai ke meri Maa ka mujh per saya hai,  or jin per hai unhy bhi qadar karny ki toufeeq ata farma... Ameen

No comments:

Post a Comment